Inner Forum
February 07, 2012, 02:44:49 AM *
Welcome, Guest. Please login or register.

Login with username, password and session length
News: Inner Forum update The website...and Added More use full Links,for more updates log on to
www.innerforum.com
 
   Home   Help Search Quran Flash Tags GoogleTagged Listen to Quran Listen to Quran Login Register  

Pages: [1]   Go Down
  Print  
Author Topic: shab e qadar...  (Read 139 times) Bookmark and Share
azhar_ali
Jr. Member
**
Offline Offline

Posts: 357



View Profile
« on: September 06, 2010, 02:10:44 AM »

Ramzan ka mahina be
hisaab barkato or fazail
ka hamil hai... bilkhusoos
is ka akhiri ashra to in
rehmato or barkato ke
hawale se bemisaal hai...
is ahsrey ki ek khaas
baat ye hai ke is main
ALLAH ne insano ko
jahannum se azaad
kiya...is ashrey ki sirf ye
aik khas bat nai hai
balke is ashrey main aik
aisi raat b aati hai jo
shab e qadar kehlati
hai... QURAN main isey
hazar mahino se afzal
bataya gaya hai... khush
naseeb hai wo shakhs
jise is raat ki ibadat
naseeb ho jaye.. jo
shakhs is raat ko ibadat
main guzar dey os ne
goya 83 baras 4 maah se
ziada ka zamana ibadat
e ilahia main guzar diya..
Nabi Kareem (S.A.W.W)
Shab e qadar ALLAH
TALAH ne mari ummat ko
murhimat farmai hai.. ye
pehli ommato ko nai
mili...
is ke barain main
mukhtalif riwayat hai ke
is inaam ka sabab kia
hai.. baaz ahadees main
aaya hai ki HUZOOR
(S.A.W.W) ne pehli
ummato ki omro ko
barha paya jalbke aap
(S.A.W.W) ke ummat ki
omrain boht torhi hai..
agar wo naiki main inki
barabri karna chahain to
na mumkin hai.. is baat
se NABI KAREEM
(S.A.W.W) ko boht dukh
huwa..ALLAH TALAH ne
apni pyarey NABI ke dili
ranj ko jaan liye or osey
door karne ke liye ya
raat hamari ummat ko
murhimat farmayi....
baaz riwayat main hai
ke aap (S.A.W.W) ne bani
israil ke aik shakhs ka
zikar farmaya ke wo
hazar mahiney ALLAH ki
raah main jahad karta
raha.. sahaba e karam
ko is par rashk aaya to
ALLAH TALAH ne is ki
talafi ke liye is raat ka
nazool farmaya...
aap ko kya maloom ke
lailat ul qadar kya hai..
yani is ki barai or
fazeelat ka kisi ko kya
maloom ke is main kya
kya khoobian hai...
olamaye karam ne shab
e qadar kee kuch
nishaniya bayan kee hai
jo is tarah hai...
is raat main mosam
motadil rehta hai yani na
zaida garmee hoti hai or
na ziada sardi.. soraj
baghair kirno ke nikalta
hai.. samandar ka pani
meeta ho jata hai... agar
koi shakhs in main se kisi
aik nishani ko p paye to
samjho shab e qadar
hai...
shab e qadar ke ta ayyun
﴾تعین﴿ main ikhtilaf hai ..
pehle is ka ilam NABI
KAREEM (S.A.W.W) ko
maloom tha par huwa yu
ke jab NABI KAREEM
(S.A.W.W) shab e qadar
ki itlaa ke liye aaye to do
musalmano ke darmiyan
jagra ho raha tha... is
moqey par aap
(S.A.W.W) ne farmay
main isi liye aaya tha ke
aap ko shab e qadar
magar fala fala shakhs
main jagra ho raha tha
jis ki waja se is ka ta
ayyun utha liya gaya...
is hadees se maloom
hota hai ke shab e qadar
ka ta ayyun NABI KAREEM
(S.A.W.W) ko maloom
tha par do afrad ke
larhai ke bayis is bhula
diya gaya..shayed ye
hamarey haq main
behtar ho.. agar shab e
qadar ka tayyun ho jata
to har shakhs sirf is khas
raat main ibadat karta
or kuch mehnat o
mushaqqat na karta.. or
saara saal ALLAH or oske
RASOOL (S.A.W.W) se ro
gardani karta..
HUZOOR (S.A.W.W)
ramzaan main aitikaaf
kiya.. aik raat aap
(S.A.W.W) ne apne hujre
se sar bahir nikala or
irshad farmaya : maine
shab e qadar ki talash
main ramzaan ke pehley
ashrey main aitikaaf
kiya .. phir is ke waja se
doosre ashrey main b..
phir kisi bataney wale
(yani farishtey ) ne
bataya ke wo akhri
ashrey main hai.. lihaza
jo log merey saath
aitikaaf kar rahain hai
wo akhiri ahsrey ka b
aitikaaf karain..
is hadees se maloom
hota hai ke shab e qadar
ramzaan ke akhiri
ashrey main hai... or is
ahsrey ke kisi b raat
main waqeh ho sakti
hai..
jab aap (S.A.W.W) se
shab e qadar ke barain
main daryaft kya gaya to
aap (S.A.W.W) ne irshad
farmaya isey ramzaan
ke akhri ashrey ki taaq
rato yani 21,23,25,27,29
main talash karo.. yani in
taaq rato mai kisi b shab
ye raat waqeh ho sakti
hai....
jamhoor olama ﴾جمہور
علماء﴿ ک ﴿ ke mutabiq ye
raat 27 ko hoti hai.. or
isey boht ahtimaam se
guzara jata hai...
Logged

www.innerforum.com
dr.shehzi
Super Hero
******
Offline Offline

Posts: 1014


u better know me


View Profile
« Reply #1 on: September 06, 2010, 04:33:41 AM »

gr8 sharing yar
Logged

be gud then All the ppl  looks gud.............
www.innerforum.com
niceabi
Global Moderator
*****
Offline Offline

Posts: 9513



View Profile
« Reply #2 on: September 06, 2010, 05:01:35 AM »

Jazakallah
Logged

niceghazi
Super Hero
******
Offline Offline

Posts: 3321



View Profile
« Reply #3 on: September 06, 2010, 11:11:03 PM »

Jazakallah..
Logged

Tags:
Pages: [1]   Go Up
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.11 | SMF © 2006-2009, Simple Machines LLC Valid XHTML 1.0! Valid CSS!